hai mujhe pās-e-vafā ai but-e-ayyār faqat
varna kuchh tū hī nahīñ ek tarah-dār faqat
aarzū is dil-e-shaidā kī yahī hai ki tirā
ek bosa kabhī de de lab-e-sofār faqat
vā.izā ḳhuld ko ham le ke kareñ kyā ham ko
rashk-e-sad-ḳhuld hai vo sāya-e-dīvār faqat
faḳhr samjhe haiñ sab abnā-e-jahāñ da.ave ko
hai agar aar to ik mujh hī ko hai aar faqat
ai gul-andām tire sar kī qasam ġhairoñ kī
ḳhaar hai ek ye nazroñ meñ gunahgār faqat
ai falak aur nahīñ kuchh havas-e-dil un se
hāl-e-dil apnā kiyā chāhūñ huuñ iz.hār faqat
chāragar sūda-e-almās chhiḌak mushk ke saath
dil ke zaḳhmoñ par na rakh marham-e-zañgār faqat
yuuñ to sab misrī kī Daliyāñ haiñ magar 'aish' sunā
dil-pasand apne haiñ ik 'mīr' ke ash.ār faqat