Hakeem Aagha Jan Aish

siwa KHuda ke nahin koi dast-gir apna

Hakeem Aagha Jan Aish

sivā ḳhudā ke nahīñ koī dast-gīr apnā
vahī muiin hai aur hai vahī nasīr apnā
usī ke naam se paatā hai kām-e-jāñ lazzat
usī kā ism mubārak hai dil-pazīr apnā
vo aap jaisā shahanshāh hai karīm-o-rahīm
kiyā hai chhāñT ke vaisā hī bas vazīr apnā
usī kā ism mubārak mohammad-e-arabī
vahī shafī.a hai bas roz-e-dār-o-gīr apnā
janāb-e-shāh-e-ġhulām-alī valī-allāh
ḳhudā ke fazl-o-karam se hai 'aish' piir apnā
Top Urdushayar.com