jān-e-muztar ko na ho kyuuñ dil-e-betāb se haz
hotā ahbāb ko hai sohbat-e-ahbāb se haz
nigah-e-mast se paatā hai vo dil kaifiyyat
ho.e maḳhmūr ko jis tarah mai-e-nāb se haz
kyā kahūñ furqat-e-jānāñ meñ ki jo guzre hai
pūchhe ab is kā koī māhī-e-be-āb se haz
ahl-e-dil paate haiñ jam.iyyat-e-dil se lazzat
ahl-e-duniyā ko hai jam.iyyat-e-asbāb se haz
dekh kar rū-e-butāñ jaan mazā paatī hai
andalīboñ ko na ho kyuuñ gul-e-shādāb se haz
kartā bad-haz hai faqat tāla-e-bedār ko ḳhvāb
varna har jāgne vaale ko milā ḳhvāb se haz
jab na ho saath vo mah-rū shab-e-mahtāb meñ 'aish'
kyā uThe ḳhaak batāo shab-e-mahtāb se haz