hove mash.hūr na kyoñ āshiq-e-badnām burā
ishq kahte haiñ jise hai ye bahut kaam burā
dekheñ anjām ho kyā us kā ḳhudā ḳhair kare
dām-e-ulfat meñ phañsā hai dil-e-nākām burā
tū bhī āshiq ho kisī par to khule haal tujhe
dil lagā hotā hai sun o but-e-ḳhud-kām burā
nañg-o-ār un ko na ho milne se mere kyuuñ kar
sach hai kambaḳht is ulfat hī kā hai naam burā
'aish' āġhāz-e-mohabbat hī meñ thā dil ko kahā
dekh hotā hai bure kaam kā anjām burā