diyā muñDer pe dil kī jalā rahī huuñ maiñ
havā-mizāj ko vāpas bulā rahī huuñ maiñ
mujhe kisī ke bhī jaane se dukh nahīñ hotā
na jaane kis liye aañsū bahā rahī huuñ maiñ
ye terī marzī ki aa.e na aa.e vāpas tū
nizām-e-dil ko to dil se chalā rahī huuñ maiñ
isī charāġh se har samt raushnī hogī
jalā hai dil to diye sab bujhā rahī huuñ maiñ
jo haath aaj mujhe thāmte nahīñ haiñ 'shabī'
ga.e dinoñ meñ to un kī duā rahī huuñ maiñ