kis ko milne kā us ke chaav nahīñ
kis ko us shoḳh se lagāo nahīñ
kaun sā dil hai vo ki jis dil meñ
us ke tīr-e-nigah kā ghaav nahīñ
mus.haf-e-ruḳh pe kyūñki Thahre nazar
is meñ mutlaq koī rahāv nahīñ
dil thā apnā diyā jise chāhā
kuchh kisī kā hameñ dabāo nahīñ
ahal-e-ġhairat ko nān-e-ḳhushk apnī
ba-ḳhudā kuchh kam az polāv nahīñ
bas kahā maano aao hazrat-e-dil
jhūTe va.adoñ pe us ke jaao nahīñ
qaul hai ahal-e-tajraba kā yahī
āzmā.e ko āzmāo nahīñ
ātish-e-ġham meñ terī furqat ne
dil ko kis din diyā tapāv nahīñ
us ke ruḳh kī vo āb-o-tāb hai 'aish'
mah-o-ḳhurshīd jis ke paav nahīñ