Hakeem Aagha Jan Aish

jo dil-awez hai us zulf-e-girah-gir ki bu

Hakeem Aagha Jan Aish

jo dil-āvez hai us zulf-e-girah-gīr kī bū
aisī aalam meñ kisī kī nahīñ tāsīr kī bū
ahl-e-jauhar ko miTā sakte haiñ kab be-jauhar
mushk kī bū ko miTā detī hai kab sair kī bū
dam hameñ dene ko aayā hai are jā vaa.iz
muñh se aatī hai chalī tere abhī shiir kī bū
is zamāne ke amīroñ se na rakh chashm-e-husūl
kis ne sūñghī hai jahāñ meñ gul-e-tasvīr kī bū
aah kī siiḳh palaT ātish-e-ġham par jaldī
chalī aatī hai kabāb-e-dil-e-dil-gīr kī bū
pahuñchī yāqūb ko haañ pairahan-e-yūsuf kī
misr se dam meñ jo allāh ne taqdīr kī bū
dam meñ Dālegā mirā nāla-e-shab-gīr nikāl
naak kī raah dimāġh-e-falak-e-pīr kī bū
sach to ye baat hai ai 'aish' ki paate haiñ yahāñ
tere ash.ār meñ tarz-e-suḳhan-e-'mīr' kī bū
Top Urdushayar.com