Hakeem Aagha Jan Aish

nala jo bulbul-e-tafsida-jigar ka nikla

Hakeem Aagha Jan Aish

naala jo bulbul-e-tafsīda-jigar kā niklā
vo sabā zulm-rasīda gul-e-tar kā niklā
sub.h dam ghar se jo TukḌā vo qamar kā niklā
kāñptā sharq se ḳhurshīd-e-sahar kā niklā
bhūlā kahte nahīñ us ko ye masal hai mash.hūr
shaam ko aa.e agar koī sahar kā niklā
jaan chorī ga.ī nuqsān huā dil ke sabab
dosh diije kise ye bhedī to ghar kā niklā
ek ko ek na aatā thā nazar hosh the ġham
bazm meñ shab ko jo zikr us kī kamar kā niklā
abr-e-tar ho gayā bas sunte hī paanī paanī
kuchh fasāna jo mire dīda-e-tar kā niklā
saath aġhyāroñ ko le le ke phire kaun bhalā
ye sirā pahle kidhar se kaho shar kā niklā
teġh-e-qātil kī zabāñ chāñTe hai saan aaj talak
na maza dil se mire ḳhūn-e-jigar kā niklā
phir rahā Dar tujhe kis baat kā ai 'aish' batā
dil se dhaḌkā jo tire naf-o-zarar kā niklā
Top Urdushayar.com