rachī dimāġh meñ ho jis ke us badan kī bū
ḳhush aave kab use nasrīn-o-nastaran kī bū
vo jis ne sūñghī ho ik daf.a us ke tan kī bū
na itr kī use bhāve na yāsman kī bū
hazār jaan se mushk-e-ḳhutan ho halqa-ba-gosh
jo sūñgh le kabhī us zulf-e-pur-shikan kī bū
basā ho dil meñ bhalā jis ke vo gul-e-ḳhūbī
pasand aa.e use kis tarah chaman kī bū
mashām-e-jāñ huī yāqūb kī vahīñ taaza
jo pahuñchī misr se yūsuf ke pairahan kī bū
kahāñ hai seb meñ seb-e-zaqan kī sī bū-bās
jahāñ meñ rūh-fazā hai to hai zaqan kī bū
mashām-e-jāñ ko tar-o-tāza 'aish' kartī hai
jahāñ ke baaġh meñ guldasta-e-suḳhan kī bū