Hakeem Aagha Jan Aish

rahi gar sohbat-e-aghyar baqi

Hakeem Aagha Jan Aish

rahī gar sohbat-e-aġhyār baaqī
to kaahe ko raheñge yaar baaqī
garebāñ meñ mire dast-e-junūñ ne
na chhoḌā naam ko ab taar baaqī
nahīñ āshiq ke tan meñ ḳhuun kī buuñd
rahī ai dīda-e-ḳhūñ-bār baaqī
na chhoḌī shaiḳh jī sāhab ke sar par
sunā rindoñ ne kal dastār baaqī
rahegā yūñhī tā roz-e-qayāmat
ḳhilāf-e-sub.ha-o-zunnār baaqī
mohabbat meñ butoñ kī mar miTe haiñ
rahā hai ik faqat huñkār baaqī
vale is sard-mehrī-e-falak kī
hai vo hī garmī-e-bāzār baaqī
ye pūchhā maiñ ne ik din apne dil se
havas hai tum ko kuchh ai yaar baaqī
kahā us ne agar mil jaa.e vo shoḳh
to kahnā kuchh nahīñ zinhār baaqī
tire bīmār-e-ġham ko hai to bas hai
faqat ik hasrat-e-dīdār baaqī
evaz bose ke dil deñge unheñ 'aish'
nahīñ ab is meñ kuchh takrār baaqī
Top Urdushayar.com