siine se tīr-e-yār kā paikāñ nikal gayā
afsos ghar meñ aan ke mehmāñ nikal gayā
hairāñ huuñ maiñ batā to huā jis pe tū ḳhafā
kyā aisā mere muñh se mirī jaañ nikal gayā
kuchh chāshnī-e-ishq se vāqif thā qais so
dīvāna ho ke sū-e-bayābāñ nikal gayā
ashkoñ ke saath siine se le ab to rahm kar
ḳhuuñ ho ke dil bhī dīda-e-giryāñ nikal gayā
tīr-e-nigāh-e-yār kā kyā hogā toḌ jab
siine ke paar yaar kā paikāñ nikal gayā
baḳhshish ko us kī dekh ke sab dil se ḳhauf-e-hashr
muzhda ho ai nadāmat-e-isyāñ nikal gayā
vo chhūTtā hai qaid se hastī kī jo koī
ho bū-e-gul kī tarah se uryāñ nikal gayā
ai 'aish' jā-e-ġhaur hai shikva ho us kā kyā
insāniyat se apnī jo insāñ nikal gayā