Hakeem Aagha Jan Aish

mariz-e-ishq ko hai dard-e-dil dawa ke liye

Hakeem Aagha Jan Aish

marīz-e-ishq ko hai dard-e-dil davā ke liye
rahī ġhizā so hai ḳhūn-e-jigar ġhizā ke liye
vo kārgar ho duā kyā bhalā shifā ke liye
na jab duā meñ ho DhūñDe asar davā ke liye
haiñ ab ke tez jo sahrā meñ is qadar sar-e-ḳhār
ḳhudā hī jaane ki haiñ kis barahna-pā ke liye
na kyūñki jaan de dil sadma-e-jigar sun kar
hamesha dete haiñ jaañ yaarī āshnā ke liye
ham āsiyoñ kā bhī allāh hai gar ai vaa.iz
tū mo'taqid hai ki jannat hai pārsā ke liye
jafā-e-charḳh-o-sitam-hā-e-ġhair-o-hasrat-o-ġham
ye jhagḌe jaan ko mol un se dil lagā ke liye
vo qātil aa.e to yaañ ham bhī sar hathelī par
liye phire haiñ usī ḳhanjar-āzmā ke liye
tum apnā dil liye phirte ho us ne lākhoñ dil
isī tarah se haiñ bāteñ banā banā ke liye
huā hai rañg-e-hinā 'aish' zeb-e-pā us ke
ye jā-e-rashk hai rutba ho ye hinā ke liye
Top Urdushayar.com