Mohammad Yusuf Ali Khan Nazim Rampuri

wada gar rose kiye jaiyega

Mohammad Yusuf Ali Khan Nazim Rampuri

va.ada gar roz kiye jā.iyegā
roz samjhūñgā ki aaj ā.iyegā
jaan kā ġham nahīñ ġham ye hai ki aap
qatl kar ke mujhe pachhtā.iyegā
maiñ bhī huuñ hazrat-e-nāseh daanā
kuchh samajh kar mujhe samjhā.iyegā
lāġhar itnā huuñ ki huuñ ghar meñ magar
mere ghar meñ na mujhe pā.iyegā
tum nahīñ qaul-o-qasam ke sachche
jhuuT kahtā huuñ qasam khā.iyegā
dar pe rahne kī ijāzat de kar
kahte haiñ paañv na phailā.iyegā
kyā hai jo kahte ho mutrib se tum aaj
koī 'nāzim' kī ġhazal gā.iyegā
Top Urdushayar.com