pī ke kar letā huuñ tauba jab se ye dastūr hai
dil bhī raushan hai mirā muñh par bhī mere nuur hai
aah kartā huuñ to barham ke liye hote ho tum
dard-mandān-e-mohabbat kā yahī dastūr hai
ġhair se milne ke shikve par qayāmat Dhā gayā
un kā ye kahnā ki dil se aadmī majbūr hai
maiñ savāl-e-vasl kar ke us adā par miT gayā
hañs ke farmāyā ki ye darḳhvāst nā-manzūr hai
hashr meñ allāh se fariyād un ke zulm kī
ai 'rasā' ye baat to shart-e-vafā se duur hai