ā.īna ḳhud-numā.ī un ko sikhā rahā hai
kyā qahr kar rahā hai kyā zulm Dhā rahā hai
aañsū bahā rahā hai vo soz-e-dil pe mere
ḳhud hī lagā ke zālim ḳhud hī bujhā rahā hai
un ko to ham ne chāhā vo yuuñ satā rahe haiñ
ai charḳh-e-kīna-parvar to kyuuñ satā rahā hai
āzurda ġhair se haiñ letā huuñ maiñ balā.eñ
rūThe haiñ vo kisī se koī manā rahā hai
kūche meñ un butoñ ne rahne diyā na shāyad
sunte haiñ ab 'rasā' bhī ka.abe ko jā rahā hai