jī chāhā jidhar chhoḌ diyā tiir adā ko
chuTkī meñ uḌaa.e hue phirte haiñ qazā ko
sajdoñ kā bhī mauqa.a na rahā ahl-e-vafā ko
phir phir ke miTāte haiñ vo naqsh-e-kaf-e-pā ko
jab paate haiñ sar dhunte hī paate haiñ 'rasā' ko
samjhā.e kahāñ tak koī is mard-e-ḳhudā ko
yuuñ ham ne chhupā.ī hai tire vasl kī hasrat
jis tarah chhupātā hai ḳhatā-vār ḳhatā ko
ab chhoḌ 'rasā' ishq-e-butāñ dekh kahā maan
kambaḳht tujhe muñh bhī dikhānā hai ḳhudā ko