nīchī nazroñ se na dekho sar-e-mahshar dekho
dād-ḳhvāhoñ kī taraf aañkh uThā kar dekho
ho ke shamshīr-ba-kaf sair ghaḌī bahr dekho
marne vāloñ kī vafā teġh ke jauhar dekho
aah kaisī kabhī shikva bhī tumhārā na kiyā
aaise ham zabt-e-mohabbat ke haiñ ḳhūgar dekho
va.ada-e-hashr hai parda bhī zamāne bhar se
koī dāman na pakaḌ le sar-e-mahshar dekho
un ko dushman se jo ulfat hai to parvā na karo
ai 'rasā' tum bhī kisī aur pe mar kar dekho