'rasā' ko dil meñ rakhte haiñ 'rasā' ke jānñe vaale
vafā kī qadar karte haiñ vafā ke jānñe vaale
tirī teġh-e-adā khiñchte hī apnī jaan jaatī hai
qazā se pahle marte haiñ qazā ke jānñe vaale
bharī haiñ shoḳhiyāñ lākhoñ tirī nīchī nigāhoñ meñ
hamīñ haiñ kuchh tirī sharm-o-hayā ke jānñe vaale
mirī fariyād sun kar kuchh unheñ parvā nahīñ hotī
niDar baiThe haiñ āh-e-nā-rasā ke jānñe vaale
'rasā' ko sab ne samjhāyā magar samjhā na kuchh zālim
hue majbūr us mard-e-ḳhudā ke jānñe vaale