raas aayā hai mujhe vahshat meñ mar jaanā mirā
vo mujhe ro.e ye kah kar haa.e dīvānā mirā
ġhair ko saaqī ne jab bhar kar diyā jām-e-sharāb
āñ.suoñ se ho gayā labrez paimānā mirā
mere rone par vo un kā muskurānā baar baar
aur balā.eñ le ke vo qadmoñ pe gir jaanā mirā
hazrat-e-nāseh kī bāteñ maiñ samajhtā hī nahīñ
nā samajh haiñ dil-lagī samjhe haiñ samjhānā mirā
ai 'rasā' vo bhī sharīk-e-mahfil-e-mātam hue
ḳhizar bhī marte haiñ jis par vo hai mar jaanā mirā