Rasa Rampuri

aane ko nazar mein meri sau fitna-gar aae

Rasa Rampuri

aane ko nazar meñ mirī sau fitna-gar aa.e
tujh sā nazar aayā hai na tujh sā nazar aa.e
khul jaa.e bharam zabt-e-mohabbat kā na un par
Dartā huuñ kahīñ aañkh meñ aañsū na bhar aa.e
mai-ḳhāne pe kyā abr hai chhāyā huā yā-rab
jalve tirī rahmat ke yahāñ bhī nazar aa.e
kartā huuñ duā.eñ to ye aatī haiñ nidā.eñ
tū ho kisī qābil to duā meñ asar aa.e
kartā hai vahī dil meñ 'rasā' ke jo Thanī hai
samjhāne ko samjhāte haiñ sab apne parā.e
Top Urdushayar.com