har ek saañs meñ kuchh dard dard lagtā hai
mirā vajūd hī ab gard gard lagtā hai
tumhāre qurb meñ garmī bahut ġhazab kī thī
havā kā haath magar sard sard lagtā hai
na jaane aa.ī kahāñ se bhikāriyoñ kī ye bhiiḌ
gadāgar aaj mujhe fard fard lagtā hai
usī meñ dekhī thī tasvīr-e-kā.enāt kabhī
vo ā.īna ki jo ab gard gard lagtā hai
vo ek ham the ki samjhā harīf ko bhī halīf
fareb-kār tumheñ fard fard lagtā hai
kisī ke hoñToñ kī surḳhī ko kyā huā hai 'raaj
ġhazal kā chehra bhī kuchh zard zard lagtā hai