hijratoñ kī god meñ palte rahe
the vafāoñ ke diye jalte rahe
dāġh-e-hijrat se milī taskīn-e-jāñ
hasratoñ meñ log kuchh jalte rahe
jin ko da.avā thā raheñge saath saath
vaqt-e-ruḳhsat haath hī malte rahe
maujzan gum-gashta manzil kī lagan
kārvāñ-dar-kārvāñ chalte rahe
ik ziyā-pāshī muhīt-e-bazm thī
dāġh-hā-e-dil jahāñ jalte rahe
eqtidār-o-sarvat-o-satvat sabhī
umr-e-rafta kī tarah Dhalte rahe
dekhnā 'sādiq' ma.āl-e-dostāñ
nār-e-buġhz-o-kīñ meñ jo jalte rahe