ba-tarz-e-ḳhvā sajānī paḌī hai āḳhir-kār
na.ī zamīn banānī paḌī hai āḳhir-kār
tapish ne jis kī mujhe kīmiyā banānā thā
mujhe vo aag bujhānī paḌī hai āḳhir-kār
bahut dinoñ se ye miTTī paḌī thī ek jagah
har ek samt uḌānī paḌī hai āḳhir-kār
jahāñ pe qasr banā.e ga.e the kāġhaz ke
vahāñ se raakh uThānī paḌī hai āḳhir-kār
vo paañv bhīge hue dekhne kī ḳhvāhish meñ
chaman meñ os bichhānī paḌī hai āḳhir-kār
mire badan kī ziyā baḌh ga.ī thī sūraj se
lahū meñ raat milānī paḌī hai āḳhir-kār
zamīñ pe daaġh bahut paḌ ga.e the ḳhuun ke daaġh
falak ko barf girānī paḌī hai āḳhir-kār