ek bujhāo ek jalāo ḳhvāb kā kyā hai
āñkhoñ meñ rakh kar so jaao ḳhvāb kā kyā hai
pāñv-tale hai rauñd ke guzro kuchal ke dekho
pīchhe jaao aage aao ḳhvāb kā kyā hai
shelf pe ulTā kar ke rakh do aur bisrā do
gul-dānoñ meñ phuul sajāo ḳhvāb kā kyā hai
ḳhvāb kā kyā hai raat ke naqsh-o-nigār banāo
raat ke naqsh-o-nigār banāo ḳhvāb kā kyā hai
niiñd milī hai guḌ se mīThī shahd se shīrīñ
gaao nācho nācho gaao ḳhvāb kā kyā hai
lā-yānī hai sab lā-yānī ya.anī ya.anī
aur kahānī likh kar laao ḳhvāb kā kyā hai
ek kabāḌī galiyoñ āvāz lagā.e
raakh ḳharīdo aag ke bhaav ḳhvāb kā kyā hai