jaras aur sārbānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai
ye dil agle zamānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai
junūnī ho gayā hai mere dariyāoñ kā paanī
pahāḌoñ ke gharānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai
guzarnā chāhtī hai bādaloñ se merī hairat
mirā shak āsmānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai
patañgā ek pāgal ho gayā hai raushnī meñ
farishtoñ kī uḌānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai
kasāfat ḳhatm kar ke jism kī miTTī kā putlā
ḳhudā ke kār-ḳhānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai
nahīñ aayā ye azhdar parbatoñ kī sair karne
zamīnoñ ke ḳhazānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai
darinde saath rahnā chāhte haiñ aadmī ke
ghanā jañgal makānoñ tak pahuñchnā chāhtā hai