ret muTThī meñ bharī paanī se āġhāz kiyā
saḳht mushkil meñ thā āsānī se āġhāz kiyā
mujh ko miTTī se badan bante hue umr lagī
merī ta.amīr ne vīrānī se āġhāz kiyā
ye jahānoñ kā zamānoñ kā makānoñ kā safar
ġhaib ne lafz se yā ma.anī se āġhāz kiyā
jab bhī ye aañkh anāsir kī taraf dekhtī hai
yaad aatā hai pareshānī se āġhāz kiyā
jism aur ism mujhe kaise mile kis ne diye
in savālāt kī hairānī se āġhāz kiyā
ek ḳhāmosh samundar thā mire chaar taraf
jis meñ āvāz ne tuġhyānī se āġhāz kiyā
mujh ko bad-sūratī-e-jism kā andāza hai
maiñ ne ā.īna-e-uryānī se āġhāz kiyā