ajab rañg-e-tilism-o-tarz-e-nau hai
diyā hai aag kā miTTī kī lau hai
mujhe sun leñgī to dekheñgī āñkheñ
mirī āvāz meñ sūraj kī zau hai
rikāb aur baag qaabū meñ nahīñ haiñ
ye asp-e-vaqt kitnā tez-rau hai
mirī tārīf ke haiñ do havāle
qadam aflāk par muTThī meñ jau hai
nahīñ hai hurriyat kī koī qīmat
magar pinjre kī qīmat chaar sau hai
maiñ kyā hariyāliyoñ kī aas bāñdhūñ
zamīñ ke saath sapnā bhī giro hai
'tarīr' aañsū haiñ aur dhundhlāhateñ haiñ
ye kaisī kahkashāoñ kī jilau hai