Daniyal Tareer

gaya ki sail-e-rawan ka bahaw aisa tha

Daniyal Tareer

1980
gayā ki sail-e-ravāñ kā bahāv aisā thā
vo ek ḳhvāb jo kāġhaz kī naav aisā thā
kisī ko bhī na thā āsān saañs kā lenā
mirī zamīñ pe havā kā dabāv aisā thā
lahū kī dhaar salāmat rahī na saañs kā taar
mujhe jo kaaT gayā vo kaTāv aisā thā
vo TimTimātā to us kī ziyā bhī kam paḌtī
kisī diye se lahū kā lagāv aisā thā
vo ek thā jo mujhe chār-sū dikhā.ī diyā
maiñ jañg haar gayā huuñ ki daav aisā thā
mujhe to laaj ke ujle libās meñ vo badan
gulāb barf meñ jaise chhupāo aisā thā
bane haiñ naag mire ban meñ peḌ jitne the
lagī hai aag sabā kā subhāv aisā thā
Top Urdushayar.com