na.ī na.ī sūrateñ badan par ujāltā huuñ
lahū se kaise ajiib manzar nikāltā huuñ
vo dil meñ utreñ to ek ho jaa.eñ raushnī deñ
dhanak ke rañgoñ ko apnī āñkhoñ meñ Dāltā huuñ
zamīn talvoñ se aa chimaTtī hai aag ban kar
hatheliyoñ par jab āsmāñ ko sambhāltā huuñ
havā meñ thoḌā sā rañg utre so is liye maiñ
gulāb kī pattiyāñ fazā meñ uchhāltā huuñ
koī nahīñ thā jo is musalsal sadā ko suntā
ye maiñ huuñ jo is diye ko sūraj meñ Dhāltā huuñ
'tarīr' sāñsoñ kā rañg niilā huā to jaanā
ḳhabar nahīñ thī ye saañp haiñ jin ko pāltā huuñ