chashm-e-vā hī na huī jalva-numā kyā hotā
aur hotā bhī to dekhe ke sivā kyā hotā
ret ke baaġh meñ kyā bād-e-bahārī kī talab
koī sabza hī nahīñ thā to harā kyā hotā
itnī saada bhī nahīñ aag aur añgūr kī ramz
ajr detā na sazā to bhī ḳhudā kyā hotā
merī ḳhvāhish ke ilāqe se pare kuchh bhī na thā
aur ḳhvāhish ke ilāqe meñ nayā kyā hotā
jism par sard havāoñ kī fusūñ-kārī thī
dhuup ta.avīz na kartī to mirā kyā hotā
azhdahe banñe lage peḌ parindoñ ke liye
shahr-e-pur-ḳhauf meñ ab is se burā kyā hotā
dekhne meñ bhī gayā thā vo tamāshā lekin
koī baaqī na rahā raqs fanā kyā hotā