koī sivā-e-badan hai na hai varā-e-badan
badan meñ guuñj rahī hai abhī sadā-e-badan
ajab hai shahr magar shahr se bhī log ajab
udhār maañg rahe haiñ badan barā-e-badan
jahāñ ThiThurtī tamannā ko aag tak na mile
vahāñ pe kaun Thahartā hai ai sarā-e-badan
kahīñ chamaktī huī ret bhī dikhā.ī na dī
kahāñ gayā vo samundar sarāb khaa.e badan
charāġh ban ke chamakte haiñ roz shaam Dhale
hamāre pahlū meñ so.e hue parā.e badan
har ek raah meñ bikhre paḌe haiñ barg-e-nafas
yahāñ chalī hai bahut din talak havā-e-badan
vo apnī qaus-e-quzah le gayā to kyā hogā
'tarīr' ġhaur-talab hai tirī fazā-e-badan