sākit ho magar sab ko ravānī nazar aa.e
us ret ke sadqe ki jo paanī nazar aa.e
maiñ sabz parinde kī tarah shahr se jā.ūñ
peḌoñ ko mirī naql-e-makānī nazar aa.e
tālāb mire ḳhvāb ke paanī se bharā ho
aur us meñ paḌā chāñd kahānī nazar aa.e
ye aañkh ye lau kitne zamāñ dekh chukī hai
jis chiiz ko dekhūñ vo purānī nazar aa.e
kyā kyā na maiñ mashkīza-e-alfāz meñ bhar luuñ
ik baar agar mauj-e-ma.ānī nazar aa.e