Daniyal Tareer

aag mein jalte hue dekha gaya hai

Daniyal Tareer

1980
aag meñ jalte hue dekhā gayā hai
āsmāñ galte hue dekhā gayā hai
ek be-chehra musāfir rañg oḌhe
dhund meñ chalte hue dekhā gayā hai
muTThiyāñ bhar kar use tārīkiyoñ se
shakl par malte hue dekhā gayā hai
ghar meñ bhī huuñ aur mujh ko dasht meñ bhī
dhuup meñ jalte hue dekhā gayā hai
chaudhvīñ ke chāñd meñ us kā sarāpā
sub.h-dam Dhalte hue dekhā gayā hai
Top Urdushayar.com