Daniyal Tareer

ye moajiza bhi dikhati hai sabz aag mujhe

Daniyal Tareer

1980
ye mo.ajiza bhī dikhātī hai sabz aag mujhe
paroñ baġhair uḌātī hai sabz aag mujhe
maiñ āyatoñ kī tilāvat meñ mahv rahtā huuñ
har ik balā se bachātī hai sabz aag mujhe
har ek shāḳh pe rakhtī hai zard qindīleñ
phir us ke ba.ad jalātī hai sabz aag mujhe
meñ āb-e-surḳh meñ jab ḳhvāb tak pahuñchtā huuñ
to mere sāmne laatī hai sabz aag mujhe
hinā.ī paañv ragaḌte hue na ghaas pe chal
tujhe ḳhabar hai ki bhātī hai sabz aag mujhe
maiñ jab bhī jalte hue ko.eloñ pe sotā huuñ
to āsmāñ se bulātī hai sabz aag mujhe
zamīñ pe naag haiñ aur un ke muñh meñ ḳhvāb kī lau
kahāniyoñ se Darātī hai sabz aag mujhe
Top Urdushayar.com