miTTī thā aur duudh meñ gūñdhā gayā mujhe
ik chāñd ke vajūd meñ gūñdhā gayā mujhe
maiñ niist aur nabūd kī ik kaifiyat meñ thā
jab vahm-e-hast-o-būd meñ gūñdhā gayā mujhe
maiñ chashm-e-kam-rasā se jise dekhtā na thā
us ḳhvāb-e-lā-hudūd meñ gūñdhā gayā mujhe
ḳhas-ḳhāna-e-ziyāñ kī shararbāriyoñ ke ba.ad
yaḳh-zār-e-nār-e-sūd meñ gūñdhā gayā mujhe
ik dast-e-ġhaib ne mujhe lā chaak par dharā
phir vaqt ke jumūd meñ gūñdhā gayā mujhe
is meñ to āsmāñ ke shajar bhī samar na deñ
jis ḳhāk-e-be-numūd meñ gūñdhā gayā mujhe
qaus-e-quzah kī samt bahut dekhtā thā maiñ
āḳhir ġhubār-o-dūd meñ gūñdhā gayā mujhe