Daniyal Tareer

shahr se kya gai jaanib-e-dasht-ezar zindagi faKHta

Daniyal Tareer

1980
shahr se kyā ga.ī jānib-e-dasht-ezar zindagī fāḳhta
bain karne lagī aa ke shām-o-sahar mātamī fāḳhta
mar gayā raat ko barf oḌhe hue ek fōtpath par
vo jo kahtā rahā lafz vo umr-bhar shāñtī fāḳhta
kaisī kaisī havā.eñ chalīñ baaġh meñ kaun aayā gayā
saarī tabdīliyoñ se rahī be-ḳhabar bāvrī fāḳhta
vo nagar chāñd kā hai vahāñ terī kirnoñ kī ḳhvāhish kise
is taraf tīrgī hai yahāñ lā ke dhar tashtarī fāḳhta
be-amāñ shahr meñ kaisī dahshat se guzrī thī maiñ kyā kahūñ
jab adū dekhtī apne hī bāl-o-par nochtī fāḳhta
vo jo āñkhoñ meñ thī koī duniyā alag thī jahāñ se judā
mere ḳhvāboñ meñ the amn kā rāhbar raushnī fāḳhta
maiñ thā shā.ir mujhe shahr-āshob likhne the likhtā rahā
terī qismat meñ likhe ga.e kyuuñ khañDar sundarī fāḳhta
Top Urdushayar.com