khañDar ye phir basāne kā irāda hī nahīñ thā
badan meñ lauT aane kā irāda hī nahīñ thā
shikam kī aag ne bailoñ ko hāñknā sikhāyā
vagarna hal chalāne kā irāda hī nahīñ thā
vo apne bheḌiyoñ ko sair par laayā thā ban meñ
ġhazāloñ ko Darāne kā irāda hī nahīñ thā
kahā thā tā.eroñ se peḌ ko dīmak lagī hai
kisī ko āzmāne kā irāda hī nahīñ thā
ḳhabar kab thī ki āñkheñ os barsāne lageñgī
tujhe varna jagāne kā irāda hī nahīñ thā
maiñ tere saath uḌtā phir rahā thā āsmāñ meñ
ḳhudā ko bhuul jaane kā irāda hī nahīñ thā
sadī maiñ ne tamannāoñ ko bāl-o-par diye the
magar un ko uḌāne kā irāda hī nahīñ thā