chāñd chhūne kī talabgār nahīñ ho saktī
kyā mirī ḳhaak chamakdār nahīñ ho saktī
ho na ho apnī basārat ne mujhe rokā hai
ġhaib jaate hue dīvār nahīñ ho saktī
jitnī peḌoñ meñ nazar aatī hai taqlīb ke ba.ad
ye zamīñ itnī pur-asrār nahīñ ho saktī
maiñ ne DhūñDā hai charāġhoñ kī lavoñ meñ tujh ko
tū sitāre meñ numūdār nahīñ ho saktī
ye zamīnoñ pe lahaktī huī gandum kī mahak
āsmānoñ kī taraf-dār nahīñ ho saktī
maiñ kise ḳhvāb sunāne ke liye aayā huuñ
shab agar niiñd se bedār nahīñ ho saktī
jis ne aañsū pe qanā.at kā chalan sīkhā ho
vo nazar ḳhūgar-e-dīnār nahīñ ho saktī