rañg aur nuur kī tamsīl se hogā ki nahīñ
shab kā mātam mirī qindīl se hogā ki nahīñ
dekhnā ye hai ki jañgal ko chalāne ke liye
mashvara rīchh se aur chiil se hogā ki nahīñ
āyat-e-tīra-shabī paḌhte hue umr huī
sāmnā ab bhī azāzīl se hogā ki nahīñ
zard miTTī meñ utartī huī ai qaus-e-quzah
ḳhvāb paidā tirī tarsīl se hogā ki nahīñ
os ke phuul mahakte haiñ tirī ā.ankhoñ meñ
in kā rishta bhī kisī niil se hogā ki nahīñ
jab suḳhan karne lagūñgā maiñ tujhe asr-e-ravāñ
isti.āra koī injīl se hogā ki nahīñ