Daniyal Tareer

ujala hi ujala raushni hi raushni hai

Daniyal Tareer

1980
ujālā hī ujālā raushnī hī raushnī hai
añdhere meñ jo terī aañkh mujh ko dekhtī hai
abhī jaagā huā huuñ maiñ ki thak kar so chukā huuñ
diye kī lau se koī aañkh mujh ko dekhtī hai
tajassus har ufuq par DhūñDhtā rahtā hai us ko
kahāñ se aur kaisī aañkh mujh ko dekhtī hai
amal ke vaqt ye ehsās rahtā hai hamesha
mire andar se apnī aañkh mujh ko dekhtī hai
maiñ jab bhī rāste meñ apne pīchhe dekhtā huuñ
vahī ashkoñ meñ bhīgī aañkh mujh ko dekhtī hai
kahīñ se haath baḌhte haiñ mire chehre kī jānib
kahīñ se surḳh hotī aañkh mujh ko dekhtī hai
darḳhto mujh ko apne sabz pattoñ meñ chhupā lo
falak se ek jaltī aañkh mujh ko dekhtī hai
Top Urdushayar.com