miltā hai mauj mauj mujhe tū kabhī kabhī
ubhrā hai terā aks lab-e-jū kabhī kabhī
paate haiñ kuchh gulāb Thikānoñ meñ parvarish
aatī hai pattharoñ se bhī ḳhushbū kabhī kabhī
ye bhī huā ki aañkh bhī pathrā ga.ī mirī
palkoñ pe jam ga.e mire aañsū kabhī kabhī
rakh sub.h-o-shām shāna-e-tadbīr haath meñ
hālāt ke bikharte haiñ gesū kabhī kabhī
ye bhī hai ik sitam tirī qurbat ke bāvajūd
miltā nahīñ sukūñ kisī pahlū kabhī kabhī
bhaTkī mirī nigāh bhī terī talāsh meñ
aañsū bane haiñ aañkh meñ aahū kabhī kabhī
maiñ sañg-e-dil nahīñ huuñ magar is ke bāvajūd
chaltā hai mujh pe husn kā jaadū kabhī kabhī
shabnam ba-dosh aa ke mujhe hausla bhī de
bād-e-sabā kī tarah mujhe chhū kabhī kabhī
'nāsir' mirī ġhazal ko bahāroñ kā bāñkpan
detī hai us kī jumbish-e-abrū kabhī kabhī