Sadique Naseem

shikast-e-abla-e-dil mein naghmagi hai bahut

Sadique Naseem

Taxila, Punjab, Pakistan

1924
shikast-e-ābla-e-dil meñ naġhmagī hai bahut
sunegā kaun ki duniyā badal ga.ī hai bahut
har ek naqsh meñ hai nā-tamāmiyoñ kī jhalak
tire jahāñ meñ kisī chiiz kī kamī hai bahut
gale lagā ke gul-o-nastaran ko royā huuñ
ki mujh ko nazm-e-gulistāñ se āgahī hai bahut
yahāñ kisī kā bhī chehra dikhā.ī de na sake
harīm-e-dil meñ tamannā kī raushnī hai bahut
maiñ ek lamha bhī mānind-e-sham.a jal na sakūñ
vo ek shab ke liye hī sahī jalī hai bahut
hai ḳhud-fareb bahut mere ahd kā fankār
hunar nahīñ bhī to shor-e-hunar-varī hai bahut
laboñ pe jaañ ho to ehsās-e-talḳh-o-shīrīñ kyā
kahīñ se zahr hī laao ki tishnagī hai bahut
ḳhirad ko naaz hai kyuuñ rasm-e-kaj-kulāhī par
sar-e-junūñ ke liye musht-e-ḳhāk bhī hai bahut
garāñ hai jins-e-vafā aur mushtarī nāyāb
hazār baar luTā huuñ ki dil ġhanī hai bahut
ajab nashāt ke pahlū ġham-e-habīb meñ haiñ
ki Dūbtī nahīñ ye naav Doltī hai bahut
tumhārā naam kisī ajnabī ke lab par thā
zarā sī baat thī dil ko magar lagī hai bahut
dam-e-vidā.a meñ yuuñ muskurā rahā huuñ 'nasīm'
ki jaise un se judā.ī kī bhī ḳhushī hai bahut
Top Urdushayar.com