Sadique Naseem

jo lab pe na laun wahi sheron mein kahun main

Sadique Naseem

Taxila, Punjab, Pakistan

1924
jo lab pe na lā.ūñ vahī sheroñ meñ kahūñ maiñ
yuuñ ā.īna-e-hasrat-e-guftār banūñ maiñ
ā.īna-e-āġhāz meñ dekhūñ ruḳh-e-anjām
kaliyoñ ke chaTakne kī sadā se bhī Darūñ maiñ
mere liye ḳhalvat bhī hai hañgāme kī sūrat
vo shor-e-tamannā hai ki kis kis ko sunūñ maiñ
Thahro to ye ghar kyā dil-o-jāñ bhī haiñ tumhāre
jaate ho to kyuuñ raah kī dīvār banūñ maiñ
har gaam nigāhoñ se lipaT uThte haiñ sho.ale
aur dil kī yahī zid hai isī raah chalūñ maiñ
har ek nazar ābla-pā dekh rahā huuñ
baste hue shahroñ ko bhī sahrā hī kahūñ maiñ
koī bhī sar-e-dār charāġhāñ nahīñ kartā
aur sab kī tamannā hai ki mansūr banūñ meñ
naqqāshī-e-taḳh.īl se ghabrā sā gayā huuñ
kab tak yūñhī ḳhvāboñ ke jazīroñ meñ rahūñ maiñ
jo le gayā jaan o jigar o dil sar-e-rāhe
vo ghar mire aa jaa.e to kyā nazr karūñ maiñ
mujh ko hai junūñ zamzama-e-barg-e-ḳhizāñ kā
patjhaḌ ke liye gosh-bar-āvāz rahūñ maiñ
'sādiq' mujhe manzūr nahīñ in kī numā.ish
har chand ki zaḳhmoñ kā ḳharīdār to huuñ maiñ
Top Urdushayar.com