Sadique Naseem

rashk-e-mahtab jahan-tab tha har qarya-e-jaan

Sadique Naseem

Taxila, Punjab, Pakistan

1924
rashk-e-mahtāb jahāñ-tāb thā har qarya-e-jāñ
jab bhī dil par chamak uTThe tire qadmoñ ke nishāñ
kaun guzrā hai mahak ban ke dayār-e-dil se
itnī gul-posh thiiñ kab shahr-e-talab kī galiyāñ
terī tasvīr ke partav nahīñ miTne paate
ek muddat se hai dil kārgah-e-shīsha-garāñ
aaj us moḌ pe hai shahr-e-tamannā ābād
tirā dāman nigah-e-shauq ne chūmā thā jahāñ
maiñ tire dard kī kulfat ko kahāñ le aayā
mere hamrāh dhaḌaktā hai dil-e-kaun-o-makāñ
itnī maddham to nahīñ hai mirī fariyād kī lai
in salāsil kī sadā gūñjegī zindāñ zindāñ
vaqt aa.egā ki dohrā.eñge ḳhud ahl-e-jafā
maiñ ne jo giit sunā.e haiñ sar-e-nok-e-sināñ
mauj-dar-mauj ubharte haiñ tamannā ke sarāb
merī tishna-dahnī meñ haiñ samundar pinhāñ
maiñ vo ashkoñ kā bhikārī huuñ sar-e-rāh-e-vafā
jis kī Thokar meñ rahā marhala-e-sūd-o-ziyāñ
maiñ vo saudā.ī-e-gul huuñ ki mirī āñkhoñ ne
sīna-e-ġhār meñ dekhī haiñ machaltī kaliyāñ
ġham ke lamhoñ kā ta.ayyun kabhī sochā to 'nasīm'
ek ik pal se mujhe jhāñk rahī thiiñ sadiyāñ
Top Urdushayar.com