jab bhī tirī qurbat ke kuchh imkāñ nazar aa.e
ham ḳhush hue itne ki pareshāñ nazar aa.e
dekhūñ to har ik husn meñ jhalkeñ tire andāz
sochūñ to faqat gardish-e-daurāñ nazar aa.e
TuuTā jo fusūn-e-nigah-e-shauq to dekhā
sahrā the jo nashshe meñ gulistāñ nazar aa.e
kāñToñ ke diloñ meñ bhī vahī zaḳhm the lekin
phūloñ ne sajā.e to numāyāñ nazar aa.e
ik ashk bhī nazr-e-ġham-e-jānāñ ko nahīñ paas
ham aaj bahut be-sar-o-sāmāñ nazar aa.e
jo rāh-e-tamannā ke har ik moḌ pe chup the
jab daar pe pahuñche to ġhazal-ḳhvāñ nazar aa.e
kyā jāniye kyā ho gayā arbāb-e-nazar ko
jis shahr ko dekheñ vahī vīrāñ nazar aa.e
kyā ruup nigāhoñ meñ rachā baiThe ki in ko
gulshan nazar aa.e na bayābāñ nazar aa.e
ik umr se is moḌ pe baiThe haiñ jahāñ par
ik pal kā guzarnā bhī na āsāñ nazar aa.e
'sādiq' kī nigāhoñ ko hī Thahrāv na mujrim
ā.īne har ik daur meñ hairāñ nazar aa.e