nazar nazar se vo kaliyāñ khilā khilā bhī gayā
gul-e-murād ko qadmoñ meñ rauñdtā bhī gayā
buland shāḳh ke gul kī tarah na haath aayā
vo rif.atoñ pe rahā apnī chhab dikhā bhī gayā
mujhe naved-e-judā.ī sunāne aayā thā
judā huā to mirī samt dekhtā bhī gayā
vo zaḳhm zaḳhm pe marham lagāne aayā thā
adā-e-baḳhiya-garī se unheñ dikhā bhī gayā
vo merā shola-jabīñ mauja-e-havā kī tarah
diye jalā bhī gayā aur diye bujhā bhī gayā
vo kam-nigāh thā kam-zarf to na thā ki mujhe
pyāla de bhī gayā tishnagī baḌhā bhī gayā
suḳhan ke ā.inoñ meñ dekh dekh apne nuqūsh
jhijak jhijak bhī gayā aur jhūmtā bhī gayā
mirī hī tarah thā vo bhī junūñ kī zad meñ magar
mujhe sambhāl ke ḳhud ko sambhāltā bhī gayā
vo jis kā dāman-e-shaffāf ab bhī hai be-dāġh
vufūr-e-shauq meñ mujh ko gale lagā bhī gayā
us ik nazāre meñ the kitne dīdanī pahlū
vo mere haal pe royā bhī muskurā bhī gayā
ġham-e-vidā.a meñ pinhāñ thā aur bhī ik ġham
ki dil se shauq-e-mulāqāt-e-bārhā bhī gayā
firāq-e-yūsuf-e-gum-gashta kam na thā sādiq
ki mere haath se kan.ān-e-quetta bhī gayā