udaas udaas sar-e-sāġhar-o-subū bhī maiñ
yam-e-nashāt kī ik mauj-e-tund-ḳhū bhī maiñ
mujhī meñ gum haiñ ka.ī tīrgī-ba-kaf rāteñ
ziyā-farosh sar-e-tāq-e-ārzū bhī maiñ
mujhī se qā.em-o-dā.em haiñ ghar ke sannāTe
tumhārī bazm-e-tamannā kī hāv-hū bhī maiñ
mire hī zaḳhm-e-tamannā meñ sau tarah ke rañg
bharī bahār meñ mahrūm-e-rañg-o-bū bhī maiñ
jo raah chalte mirī samt aañkh bhī na uThā.e
usī kī bazm kā mauzū-e-guftugū bhī maiñ
jise sañvār ke ḳhud bhī bikhartā jaatā huuñ
us ek gauhar-e-sad-zau kī aabrū bhī maiñ
kuchh aise taur se chamkā hai dil kā dāġh-e-shikast
ki aaj tak nahīñ hasrat-kash-e-rafū bhī maiñ
nazar meñ tere har andāz ko sajā.e hue
misāl-e-ā.īna bhī maiñ lahū lahū bhī maiñ
maiñ aaj sāz-e-dil-o-jāñ pe gā.ūñ kaun sā giit
tumhāre paas bhī duniyā ke rū-ba-rū bhī maiñ
tumhārī barham se uThne kā bhī ḳhayāl mujhe
zarā sī der Thaharne kā hīla-jū bhī maiñ
ḳhud apne aap se aisā bichhaḌ gayā huuñ 'nasīm'
ki ab maqām bhī manzil bhī justujū bhī maiñ