yuuñ to har ek shaḳhs hī tālib samar kā hai
aisā bhī koī hai ki jise ġham shajar kā hai
ye kaisā kārvāñ hai ki ek ek gaam par
sab sochte haiñ kyā koī mauqa.a safar kā hai
ye kaisā āsmāñ hai ki jis kī fazāoñ meñ
ek ḳhauf sā shikastagī-e-bāl-o-par kā hai
ye kaisā ghar hai jis ke makīnoñ ko har ghaḌī
dhaḌkā sā ek larzish-e-dīvār-o-dar kā hai
ā.ankhoñ pe tīrgī kā tasallut hai is qadar
kirnoñ pe ehtimāl fareb-e-nazar kā hai
chehre kā koī daaġh dikhā.ī na de mujhe
ye mo.ajaza ajab mire ā.īna-gar kā hai
thā 'mīr-jī' kā daur ġhanīmat ki un dinoñ
dastār hī kā Dar thā magar ab to sar kā hai
ye saare silsile the jab ā.ankhoñ meñ nuur thā
ab kis kā intizār kisī dīda-var kā hai
ġhālib hai ab buland sadā hī dalīl par
'sādiq' hamārā daur ajiib shor-o-shar kā hai