kis muñh se zindagī ko vo raḳhshanda kah sakeñ
jo mehr-o-māh ko bhī na tābinda kah sakeñ
vo din bhī huuñ ġhubār chhaTeñ āñdhiyāñ haTeñ
aur gul ko rañg-o-bū kā numā.inda kah sakeñ
taaza rakheñ sadā ḳhalish-e-zaḳhm ko ki ham
jo ab na kah sake kabhī ā.inda kah sakeñ
zindāñ meñ koī rauzan-e-zindāñ to ho ki log
jis haal meñ bhī dekheñ hameñ zinda kah sakeñ
har shai badal rahī hai ajab ujlatoñ meñ rañg
koī to naqsh ho jise pā.inda kah sakeñ
dil ke sivā hai kaun sā aisā charāġh shaam
be-nūr ho ke bhī jise raḳhshanda kah sakeñ
sadiyoñ navā-garoñ ko mayassar na aa mile
vo giit jin ko hasrat-e-sāzinda kah sakeñ
is daur meñ har ik ko hai ḳhud apnī justujū
koī nahīñ jise tirā joinda kah sakeñ
har sū udaas chehre haiñ itne ki ab 'nasīm'
kis ko dayār-e-dard kā bāshinda kah sakeñ