azmat-e-fikr ke andāz ayaañ bhī hoñge
ham zamāne meñ subuk haiñ to garāñ bhī hoñge
jin sitāroñ ko ḳhudā maan ke puujā thā kabhī
ab unhīñ par mire qadmoñ ke nishāñ bhī hoñge
kaise rah saktī haiñ jannat kī fazā.eñ shaffāf
ḳhaak uḌāne ko hamīñ log vahāñ bhī hoñge
be-sutūñ azmat-e-farhād kā maz.har hai to kyā
ahl-e-dil kitne hī benām-o-nishāñ bhī hoñge
dil ka.ī aur bhī dhaḌke.eñge mire dil kī tarah
apne qisse ba-hadīs-e-digarāñ bhī hoñge
yuuñ to taz.īn-e-gul-o-ġhuncha meñ shāmil haiñ sabhī
haa.e vo rañg jo ab harf-e-ḳhizāñ bhī hoñge
jab shaguft-e-gul-e-bādām kī rut aa.egī
ko.eTe ko nahīñ bhūleñge jahāñ bhī hoñge
avvalīñ diid meñ hī apnī nigāheñ kho kar
zindagī-bhar tirī jānib nigarāñ bhī hoñge
ḳhud-numā.ī ke liye bante ho mazlūm 'nasīm'
zaḳhm khaa.e haiñ to kuchh un ke nishāñ bhī hoñge